Yeh Hum Aa Gaye Kahaan - 爱无国界 (Veer-Zaara)
Lehraati huwi raahein
Khole huwe hain baanhein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Palkon pe gehre halke
Hai reshmi dhundhalke ke
Yeh hum aa gaye hain kahan
Aa yeh hum aa gaye hain kahan
Woh dekho zara
Parbaton pe ghataayein
Hamaari daastaan
Holle se sunaaye
Suno toh zara
Ye phoolon ki waadi
Hamaari hi koyi kahani hai sunaati
Sapnon ke is nagar mein
Yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan yeh hum aa gaye hain kahan
Jo raahon mein hai
Rut ne sona bikhera
Sunehra huwa
Tera mera savera
Zameen so gayi
Barf ki chaadaron mein
Bas ek aag si jalti hai do dilon mein
Hawaayein sansanaayein
Badan kaanp jaayein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan yeh hum aa gaye hain kahan
Ye barsaat bhi
Kab thamein kaun jaane
Tumhein mil gaye
Pyaar ke sau bahaane
Sitaaron ki hai
Jaise baaraat aayi
Hamaare liye
Raat yun dagmagaayi
Sapne bhi jhilmilaayein
Dil mein diye jalaayein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan yeh hum aa gaye hain kahan